Manzoor Hashmi

shauq jab jurat-e-izhaar se Dar jaega

Manzoor Hashmi

Badayun, Uttar pradesh, India

1935-2008
shauq jab jur.at-e-iz.hār se Dar jā.egā
lafz ḳhud apnā galā ghūñT ke mar jā.egā
tez-raftār havāoñ ko ye ehsās kahāñ
shāḳh se TūTegā pattā to kidhar jā.egā
ye chamaktā huā sūraj bhī mirī shaam ke ba.ad
raat ke gahre samundar meñ utar jā.egā
sirf ik ghar ko Dubonā hī nahīñ kaam is kā
ab ye sailāb kisī aur ke ghar jā.egā
haiñ har ik samt yahī log yahī duniyā hai
in se bach ke koī jaa.e to kidhar jā.egā
kaam itnā to karegā ye ubaltā huā ḳhuun
saare manzar meñ mirā rañg to bhar jā.egā
Top Urdushayar.com