koī pūchhe to na kahnā ki abhī zinda huuñ
vaqt kī kokh meñ ik lamha-e-ā.inda huuñ
zindagī kitnī hasīñ kitnī baḌī ne.amat hai
aah maiñ huuñ ki use pā ke bhī sharminda huuñ
kyā adā hone ko hai sunnat-e-ibrāhīmī
aag hī aag hai har samt magar zinda huuñ
zindagī tū jo sunegī to hañsī aa.egī
maiñ samajhtā huuñ ki maiñ terā numā.inda huuñ
tez raftār havāoñ ke laboñ se pūchho
harf-e-āḳhir huuñ maiñ ik naġhma-e-pā.inda huuñ
ajnabī jaan ke har shaḳhs guzar jaatā hai
aur sadiyoñ se isī shahr kā bāshinda huuñ
jaane kin tez ujāloñ meñ nahāyā thā kabhī
is qadar saḳht añdheroñ meñ bhī tābinda huuñ