dil hī nahīñ to dil ke sahāroñ ko kyā karūñ
jab paas tum nahīñ to bahāroñ ko kyā karūñ
jalvoñ se jis ke chāñd sitāroñ meñ thī ziyā
ab vo hasīñ nahīñ to sitāroñ ko kyā karūñ
tasvīr aur tasavvur-e-jānāñ ye sab fareb
maiñ un se duur un ke nazāroñ ko kyā karūñ
go jannat-e-nigāh hoñ firdaus-e-rañg hoñ
guzrī huī hasīn bahāroñ ko kyā karūñ
ḳhvāboñ se 'nūr' chhīn liyā hai ḳhayāl-e-yār
tere baġhair tere ishāroñ ko kyā karūñ