ruḳh pe ahbāb ke phir rañg-e-musarrat aa.e
phir mirī samt koī sañg-e-malāmat aa.e
terī rahmat kā bharam TuuT rahā hai shāyad
aaj āñkhoñ meñ mirī ashk-e-nadāmat aa.e
vaqt shāhid hai ki har daur meñ iisā kī tarah
ham salīboñ pe liye apnī sadāqat aa.e
husn hai un meñ tirā mere junūñ kā andāz
phuul bhī le ke ajab shakl o shabāhat aa.e
daur-e-ishrat ne sañvāre haiñ ġhazal ke gesū
fikr ke pahlū magar ġham kī badaulat aa.e