ab ḳhuun ko mai qalb ko paimāna kahā jaa.e
is daur meñ maqtal ko bhī mai-ḳhāna kahā jaa.e
jo baat kahī jaa.e vo tevar se kahī jaa.e
jo sher kahā jaa.e harīfāna kahā jaa.e
har hoñT ko murjhāyā huā phuul samajhiye
har aañkh ko chhalkā huā paimāna kahā jaa.e
sunsān hue jaate haiñ ḳhvāboñ ke jazīre
ḳhvāboñ ke jazīroñ ko bhī vīrāna kahā jaa.e
vaa.iz ne jo farmāyā thā mehrāb-e-haram meñ
rindoñ se vo kyuuñ sāqi-e-mai-ḳhāna kahā jaa.e
tapte hue sahrā meñ bhī kuchh phuul khilā.eñ
kab tak lab-o-ruḳhsār kā afsāna kahā jaa.e
ham sub.h-e-bahārāñ kī tamāzat se jale haiñ
ham se gul o shabnam kā na afsāna kahā jaa.e
dīvāna har ik haal meñ dīvāna rahegā
farzāna kahā jaa.e ki dīvāna kahā jaa.e
maḳhdūm se ham ko bhī hai nisbat vahī 'manzūr'
rindoñ meñ jise nisbat-e-paimāna kahā jaa.e