zindagī meñ pahle itnī to pareshānī na thī
tañg-dāmanī thī lekin chāk-dāmānī na thī
jaam ḳhālī the magar mai-ḳhāna to ābād thā
chashm-e-sāqī meñ taġhāful thā pashīmānī na thī
ġhāza-e-ġham ek thā the sab ke chehre muḳhtalif
ġhaur se dekhā to koī shakl anjānī na thī
jin safīnoñ ne kabhī toḌā thā maujoñ kā ġhurūr
us jagah Duube jahāñ dariyā meñ tuġhyānī na thī
tujh se ummīd-e-vafā ḳhvāb-e-pareshāñ to na thī
bevafā umr-e-gurezāñ thī ki tūlānī na thī
paḌh chukā apnī ġhazal 'manzūr' to aisā lagā
marsiya thā daur-e-hāzir kā ġhazal-ḳhvānī na thī