mai-kada-sāmāñ thī nazroñ meñ fazā kal raat ko
chhā rahī thī un kī zulfoñ kī ghaTā kal raat ko
har-nafas māñgī duā-e-ḳhair īmāñ ke liye
mere pahlū meñ thā ik kāfir-adā kal raat ko
vo bahār-afroz āñchal sad gulistāñ darkinār
vo bahisht-e-ārzū rañgīñ-qabā kal raat ko
ā.īna-bardār ḳhuld-e-shauq vo lauh-e-jabīñ
vo charāġh-e-tūr rū-e-pur-ziyā kal raat ko
vo lab-e-jibrīl kā partav hasīñ tarz-e-kalām
qum-be-iznī kā ham e.ajāz-o-adā kal raat ko
uljhe uljhe se vo fiqre khoī khoī guftugū
sādgī meñ vo sharārat kā mazā kal raat ko
hāsil-e-sad-mai-kada 'manzūr' thā mere liye
be-irāda merā un kā sāmnā kal raat ko