chehre pe saare shahr ke gard-e-malāl hai
jo dil kā haal hai vahī dillī kā haal hai
uljhan ghuTan hirās tapish karb intishār
vo bhiiḌ hai ke saañs bhī lenā muhāl hai
āvārgī kā haq hai havāoñ ko shahr meñ
ghar se charāġh le ke nikalnā muhāl hai
be-chehragī kī bhiiḌ meñ gum hai har ik vajūd
ā.īna pūchhtā hai kahāñ ḳhadd-o-ḳhāl hai
jin meñ ye vasf ho ki chhupā leñ har ek daaġh
un ā.inoñ kī aaj baḌī dekh-bhāl hai
parchhā.iyāñ qadoñ se bhī aage nikal ga.iiñ
sūraj ke Duub jaane kā ab ehtimāl hai
kashkol-e-chashm le ke phiro tum na dar-ba-dar
'manzūr' qaht-e-jins-e-vafā kā ye saal hai