Malikzada Manzoor Ahmad

main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016
maiñ huuñ aur silsila-e-ashk-e-ravāñ aaj kī raat
zindagī hai hama-tan soz ba-jāñ aaj kī raat
dīda-e-shauq meñ hai raqs-kunāñ aaj kī raat
ġham kī bujhtī huī sham.oñ kā dhuāñ aaj kī raat
apnī palkoñ pe larazte hue tāroñ kī qasam
sab ke hoñToñ pe hai fariyād-o-fuġhāñ aaj kī raat
haiñ kahāñ aah vo hūrān-e-tasavvur jin se
dil thā ġhairat-dah-e-gulzār-e-jināñ aaj kī raat
sāmne koī nahīñ rūh-navāz-e-dil-o-jāñ
zindagānī kī tamannā hai garāñ aaj kī raat
chāñdnī raat ke chehre pe hai kyuuñ ġham kā ġhubār
dhundlī dhundlī sī hai kyuuñ kāhkashāñ aaj kī raat
vo nahīñ haiñ to muqaddar meñ haiñ mere 'manzūr'
mātam-e-marg-e-tamannā-e-javāñ aaj kī raat
Top Urdushayar.com