Malikzada Manzoor Ahmad

KHwab ka rishta haqiqat se na joDa jae

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016
ḳhvāb kā rishta haqīqat se na joḌā jaa.e
ā.īna hai ise patthar se na toḌā jaa.e
ab bhī bhar sakte haiñ mai-ḳhāne ke sab jām-o-subū
merā bhīgā huā dāman jo nichoḌā jaa.e
har qadam marhala-e-marg-e-tamannā hai magar
zindagī phir bhī tirā saath na chhoḌā jaa.e
aao phir aaj kuredeñ dil-e-afsurda kī raakh
aao soī huī yādoñ ko jhiñjhoḌā jaa.e
ho vo tauba ke ho sāġhar ke ho paimān-e-vafā
kuchh na kuchh aaj to mai-ḳhāne meñ toḌā jaa.e
zulf o ruḳh aaj bhī unvān-e-ġhazal haiñ 'manzūr'
ruḳh udhar gardish-e-ayyām kā moḌā jaa.e
Top Urdushayar.com