tishna-labī ne jab bhī zauq-e-amal diyā hai
rindoñ ne mai-kade kā saaqī badal diyā hai
duniyā hai is kī shāhid is shahr-e-be-amāñ ne
jis meñ anā samā.ī vo sar kuchal diyā hai
khilte rahe haiñ jo gul bād-e-ḳhizāñ kī shah par
dast-e-sabā ne baḌh kar un ko masal diyā hai
sab ne sunī hai jis meñ asr-e-ravāñ kī dhaḌkan
'manzūr' ham ne aisā sāz-e-ġhazal diyā hai