māmūl pe sāhil rahtā hai fitrat pe samundar hotā hai
tūfāñ jo Dubo de kashtī ko kashtī hī ke andar hotā hai
jo fasl-e-ḳhizāñ meñ kāñToñ par raqsān-o-ġhazal-ḳhvāñ guzre the
vo mausam-e-gul meñ bhuul ga.e phūloñ meñ bhī ḳhanjar hotā hai
har shaam charāġhāñ hotā hai ashkoñ se hamārī palkoñ par
har sub.h hamārī bastī meñ jaltā huā manzar hotā hai
ab dekh ke apnī sūrat ko ik choT sī dil par lagtī hai
guzre hue lamhe kahte haiñ ā.īna bhī patthar hotā hai
is shahr-e-sitam meñ pahle to 'manzūr' bahut se qātil the
ab qātil ḳhud hī masīhā hai ye zikr barābar hotā hai