Malikzada Manzoor Ahmad

kuchh gham-e-jaanan kuchh gham-e-dauran donon meri zat ke nam

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016
kuchh ġham-e-jānāñ kuchh ġham-e-daurāñ donoñ merī zaat ke naam
ek ġhazal mansūb hai us se ek ġhazal hālāt ke naam
mauj-e-balā dīvār-e-shahr pe ab tak jo kuchh likhtī rahī
merī kitāb-e-zīst ko paḌhiye darj haiñ sab sadmāt ke naam
girte ḳheme jaltī tanābeñ aag kā dariyā ḳhuun kī nahr
aise munazzam mansūboñ ko duuñ kaise āfāt ke naam
us kī galī se maqtal-e-jāñ tak masjid se mai-ḳhāne tak
uljhan pyaas ḳhalish tanhā.ī karb-zada lamhāt ke naam
sahrā zindāñ tauq salāsil ātish zahr aur daar o rasan
kyā kyā ham ne de rakhe haiñ aap ke ehsānāt ke naam
raushan chehra bhīgī zulfeñ duuñ kis ko kis par tarjīh
ek qasīda dhuup kā likkhūñ ek ġhazal barsāt ke naam
jin ke liye mar mar ke jiye ham kyā paayā un se 'manzūr'
kuchh rusvā.ī kuchh badnāmī ham ko milī sauġhāt ke naam
Top Urdushayar.com