na ḳhauf-e-barq na ḳhauf-e-sharar lage hai mujhe
ḳhud apne baaġh ke phūloñ se Dar lage hai mujhe
ajiib dard kā rishta hai saarī duniyā meñ
kahīñ ho jaltā makāñ apnā ghar lage hai mujhe
maiñ ek jaam huuñ kis kis ke hoñT tak pahuñchūñ
ġhazab kī pyaas liye har bashar lage hai mujhe
tarāsh letā huuñ us se bhī ā.īne 'manzūr'
kisī ke haath kā patthar agar lage hai mujhe