Malikzada Manzoor Ahmad

shama ki tarah shab-e-gham mein pighalte rahiye

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016
sham.a kī tarah shab-e-ġham meñ pighalte rahiye
sub.h ho jā.egī julte haiñ to jalte rahiye
vaqt chaltā hai uḌātā huā lamhāt kī gard
pairahan fikr kā har roz badalte rahiye
aa.ina sāmne aa.egā to sach bolegā
aap chehre jo badalte haiñ badalte rahiye
aa.ī manzil to qadam aap hī ruk jā.eñge
ziist ko rāh-e-safar jaan ke chalte rahiye
sub.h ho jā.egī haath aa na sakegā mahtāb
aap agar ḳhvāb meñ chalte haiñ to chalte rahiye
ahd-e-imroz ho yā vāda-e-fardā 'manzūr'
TūTne vaale khilaune haiñ bahalte rahiye
Top Urdushayar.com