zehn meñ charāġhāñ hai ruuh jagmagā.ī hai
shaam ke dhuñdlakoñ meñ yaad terī aa.ī hai
kal ḳhizāñ meñ dīvāne be-niyāz-e-dāman the
fikr-e-pairahan ab hai jab bahār aa.ī hai
ḳhud ulajh ga.e āḳhir jo chale the suljhāne
gesū-e-pareshāñ se vo shikast khaa.ī hai
zulmat-e-shab-e-ġham meñ zindagī kī rāhoñ par
sham.a-e-ārzū ham ne muddatoñ jalā.ī hai
tum hī gesuoñ vaalo chhāñv le ke aa jaao
zindagī kī rāhoñ par tez dhuup chhā.ī hai
kaash daulat-e-ġham hī apne paas bach rahtī
vo bhī un ko de baiThe aisī maat khaa.ī hai
aap ro.e kyuuñ āḳhir sun ke qissa-e-'manzūr'
aap hī batā.eñ to aañkh kyuuñ bhar aa.ī hai