Malikzada Manzoor Ahmad

ilaj-e-zaKHm-e-dil hota hai gham-KHwari bhi hoti hai

Malikzada Manzoor Ahmad

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1929-2016
ilāj-e-zaḳhm-e-dil hotā hai ġham-ḳhvārī bhī hotī hai
magar maqtal kī mere ḳhuuñ se gul-kārī bhī hotī hai
vahī qātil vahī munsif adālat us kī vo shāhid
bahut se faisloñ meñ ab taraf-dārī bhī hotī hai
ye hai turfa-tamāshā karbalā-e-asr-e-hāzir kā
gharoñ meñ qātiloñ ke ab azā-dārī bhī hotī hai
ta.alluq un se TuuTā thā na TuuTā hai na TūTegā
bahut mazbūt zanjīr-e-vafā-dārī bhī hotī hai
vo merā dost hai 'manzūr' lekin jab bhī miltā hai
ḳhulūs-e-dil meñ shāmil kuchh riyā-kārī bhī hotī hai
Top Urdushayar.com