'manzūr' lahū kī buuñd koī ab tak na mirī bekār girī
yā rañg-e-hinā ban kar chamkī yā pesh-e-saīlb-o-dār girī
auroñ pe na jaane kyā guzrī is teġh-o-tabar ke mausam meñ
ham sar to bachā laa.e lekin dastār sar-e-bāzār girī
jo tiir andhere se the chale vo sarhad-e-jāñ ko chhū na sake
chaltā thā maiñ jis ke saa.e meñ gardan pe vahī talvār girī
kyā jāniye kaisī thī vo havā chauñkā na shajar patta na hilā
baiThā thā maiñ jis ke saa.e meñ 'manzūr' vahī dīvār girī