asīr-e-dasht-e-balā kā na mājrā kahnā
tamām pūchhne vāloñ ko bas duā kahnā
ye kahnā raat guzartī hai ab bhī āñkhoñ meñ
tumhārī yaad kā qaa.em hai silsila kahnā
ye kahnā ab bhī sulagtā hai jism kā chandan
tumhārā qurb thā ik shola-e-hinā kahnā
ye kahnā chāñd utartā hai baam par ab bhī
magar nahīñ vo shab-e-māh kā mazā kahnā
ye kahnā masnad-e-shāḳh-e-numū pe thā jo kabhī
vo phuul sūrat-e-ḳhushbū bikhar gayā kahnā
ye kahnā qarya-e-jāñ meñ haiñ dam-ba-ḳhud sab log
tamām shahr huā maqtal-e-navā kahnā
ye kahnā hasrat ta.amīr ab bhī hai dil meñ
banā liyā hai makāñ to makāñ-numā kahnā
ye kahnā ham ne hī tūfāñ meñ Daal dī kashtī
qusūr apnā hai dariyā ko kyā burā kahnā
ye kahnā ho ga.e ham itne maslahat-andesh
chale jo lū to use abhī ḳhunuk havā kahnā
ye kahnā haar na maanī kabhī añdheroñ se
bujhe charāġh to dil ko jalā liyā kahnā
ye kahnā tum se bichhaḌ kar bikhar gayā 'tishna'
ki jaise haath se gir jaa.e ā.īna kahnā