Alamtaab Tishna

uThte hue tufan ka manzar nahin dekha

Alamtaab Tishna

Meerut, Uttar pradesh, India

1935-1991
uThte hue tūfān kā manzar nahīñ dekhā
dekho mujhe gar tum ne samundar nahīñ dekhā
guzrā huā lamha thā ki bahtā huā dariyā
phir merī taraf us ne palaT kar nahīñ dekhā
ik dasht milā kūcha-e-jānāñ se nikal kar
ham ne to kabhī ishq ko be-ghar nahīñ dekhā
the sañg to betāb bahut naqsh-garī ko
ham ne hī unheñ aañkh uThā kar nahīñ dekhā
ik umr se hai jo mirī vahshat kā Thikāna
ḳhushiyoñ kī tarah tū ne bhī vo ghar nahīñ dekhā
nafrat bhī usī se hai parastish bhī usī kī
is dil sā koī ham ne to kāfar nahīñ dekhā
ḳhvāhish ko yahāñ hasb-e-zarūrat nahīñ paayā
hāsil ko yahāñ hasab-e-muqaddar nahīñ dekhā
har haal meñ dekhā hai use zabt kā paikar
'tishna' ko kabhī zarf se bāhar nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com