Alamtaab Tishna

main apni jang mein tan-e-tanha sharik tha

Alamtaab Tishna

Meerut, Uttar pradesh, India

1935-1991
maiñ apnī jañg meñ tan-e-tanhā sharīk thā
dushman ke saath saarā zamāna sharīk thā
injīr o shiir bāñTtā phirtā hai shahr meñ
kal tak jo merī nān-e-javīñ kā sharīk thā
mere ḳhilāf hai vo gavāhī meñ pesh pesh
mansūba-bandiyoñ meñ jo merā sharīk thā
mere qisās kā bhī huā hai vo mudda.ī
jo mere qatl meñ pas-e-parda sharīk thā
kār-e-jahāñ meñ bhī vahī merā sharīk hai
dukh-dard meñ jo lamha-ba-lamha sharīk thā
kashtī ke Dūbne kā mujhe ġham nahīñ magar
maujoñ kī sāz-bāz meñ dariyā sharīk thā
had ho ga.ī thī ham se mohabbat meñ kufr kī
jaise ḳhudā-na-ḳhvāsta vo lā-sharīk thā
'tishna' ye tujh ko sañg-e-malāmat usī ke haiñ
pindār-e-ishq meñ jo anā kā sharīk thā
Top Urdushayar.com