kis kis se dostī huī ye dhyān meñ nahīñ
un meñ se ek bhī mire sāmān meñ nahīñ
rasm-e-vafā kā us se nibhānā bhī hai muhāl
tark-e-ta.alluqāt bhī imkān meñ nahīñ
bāñdheñ kisī se ahd-e-vafā ham to kis tarah
ik taar bhī to apne garebān meñ nahīñ
kyuuñ ham ne haar maan lī kyuuñ Daal dī sipar
ye sāneha shikast ke elaan meñ nahīñ
ye jaañ supurdagī hai usī ek baat par
jo baat mere ishq ke paimān meñ nahīñ
shorīdgī ko haiñ sabhī āsūdgī nasīb
vo shahr meñ hai kyā jo bayābān meñ nahīñ
'tishna' vo shab likhī hai hamāre nasīb meñ
jis kī sahar kā zikr bhī imkān meñ nahīñ