dard kī ik lahr bal khātī hai yuuñ dil ke qarīb
mauj-e-sar-gashta uThe jis tarah sāhil ke qarīb
mā-sivā-e-kār-āh-o-ashk kyā hai ishq meñ
hai savād-e-āb-o-ātish dīda-o-dil ke qarīb
dard meñ Duubī huī aatī hai āvāz-e-jaras
giriya-e-gum-gashtagī suntā huuñ manzil ke qarīb
aarzū nāyāft kī hai silsila-dar-silsila
hai numūd-e-karb-e-lā-hāsil bhī hāsil ke qarīb
kuchh to ai nazzārgān-e-aish-e-sāhil boliye
kashtiyāñ kitnī huiiñ ġharqāb sāhil ke qarīb
hai abhī vāmāñdgī ko ik safar darpesh aur
hai abhī uftād-e-manzil aur manzil ke qarīb
rang-e-hasrat kā tamāshā dekhnā thā gar tumheñ
raqs-e-āḳhir dekhte tum aa ke bismil ke qarīb
haiñ vo sab 'tishna' sar-e-manzil amīr-e-kārvāñ
jo mile the kārvāñ se aa ke manzil ke qarīb