Alamtaab Tishna

ab bhi zarron pe sitaron ka guman hai ki nahin

Alamtaab Tishna

Meerut, Uttar pradesh, India

1935-1991
ab bhī zarroñ pe sitāroñ kā gumāñ hai ki nahīñ
zer-e-pā ab bhī tire kāhkashāñ hai ki nahīñ
ab bhī vo jashn-e-tarab hai ki nahīñ maqtal meñ
ik tamāshe ko hujūm-e-nigarāñ hai ki nahīñ
ab bhī fariyād-ba-lab hai ki nahīñ rāñda-e-ishq
vo hī be-chārgī-e-dil-zadagāñ hai ki nahīñ
kahiye nam hai ki nahīñ chashm-e-nadāmat-āsār
qāfile vāloñ ko ehsās-e-ziyāñ hai ki nahīñ
har gul-e-nam ke liye hai ki nahīñ gardish-e-chāk
ye jahāñ kārgah-e-kūza-garāñ hai ki nahīñ
vo mirā dushman-e-jāñ hai ki nahīñ sañg-ba-dast
rā.egāñ koshish-e-sad-shīsha-garāñ hai ki nahīñ
'tishna' kuchh sab se judā hai ki nahīñ terī ġhazal
munfarid 'saudā' kā andāz-e-bayāñ hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com