ahd-e-kam-koshī meñ ye bhī hausla maiñ ne kiyā
shahr ke sab band darvāzoñ ko vā maiñ ne kiyā
maiñ ne saf-ārā kiyā ik majma-e-shorīda-sar
kaj-kulāh-e-shahr ko be-mājrā maiñ ne kiyā
de diye mahrūmiyoñ ke haath meñ jām-o-subū
mai-kade meñ ek hañgāma bapā maiñ ne kiyā
maiñ adālat meñ uThā laayā huuñ ḳhud apnī salīb
mere munsif dekh ye bhī faisla maiñ ne kiyā
maiñ ne majnūñ ko diyā dars-e-sulūk-e-āshiqī
chāk-dāmāñ ko mohabbat kī jazā maiñ ne kiyā
maiñ ne aivānoñ meñ pheñke sañg-e-jur.at-āfrīñ
nashsha-e-tāqat-asar ko be-mazā maiñ ne kiyā
is se baḌh kar aur kyā hogā subūb-e-bandagī
mujh se 'tishna' us ne jo kuchh bhī kahā maiñ ne kiyā