sivā.e-dar-ba-darī us ko ḳhaak miltā hai
jo āsmān se apnī zamīñ badaltā hai
maiñ jab bhī ghar se nikaltā huuñ raat ko tanhā
charāġh le ke koī saath saath chaltā hai
ajiib hotā hai nazzārgān-e-shauq kā haal
ridā-e-māh pahan kar vo jab nikaltā hai
barū-e-chashm ridā-e-hijāb taan lī jaa.e
vo zer-e-sāya-e-gul pairahan badaltā hai
fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlū meñ
tamām raat koī karvaTeñ badaltā hai
guzār dete haiñ āvāra-gard aag ke gird
jo be-Thikāna haiñ un kā bhī kaam chaltā hai
hamāre dam se bhī hai mausamoñ kī gul-kārī
charāġh-e-lāla meñ dil kā lahū bhī jaltā hai
maiñ vo shahīd-e-vafā huuñ ki qatl kar ke mujhe
mirā ġhanīm ta.assuf se haath maltā hai
hameñ nasīb huā aisī manziloñ kā safar
qadam qadam pe jahāñ rāsta badaltā hai
havā-e-dāman-e-rañgīñ ye kah ga.ī 'tishna'
hamāre sāmne kis kā charāġh jaltā hai