safar meñ raah ke āshob se na Dar jaanā
paḌe jo aag kā dariyā to paar kar jaanā
ye ik ishāra hai āfāt-e-nā-gahānī kā
kisī jagah se parindoñ kā kuuch kar jaanā
tumhārā qurb bhī duurī kā isti.āra hai
ki jaise chāñd kā tālāb meñ utar jaanā
tulū-e-mahr-e-daraḳhshāñ kī ik alāmat hai
uThā.e sham-e-yaqīñ us kā daar par jaanā
ham apne ishq kī ab aur kyā shahādat deñ
hameñ hamāre raqīboñ ne mo'tabar jaanā
har ek shāḳh ko pahnā gayā numū kā libās
safīr-e-mausam-e-gul kā shajar shajar jaanā
ham apnī sāda-dilī meñ bhī be-misāl rahe
jo ham-safar bhī na thā us ko rāhbar jaanā