Alamtaab Tishna

hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha

Alamtaab Tishna

Meerut, Uttar pradesh, India

1935-1991
hisār-e-maqtal-e-jāñ meñ lahū lahū maiñ thā
rasan rasan mirī vahshat gulū gulū maiñ thā
jo rah gayā nigah-e-sozan-e-mashiyyat se
qabā-e-zīst kā vo chāk-e-be-rafū maiñ thā
zamāna hañstā rahā merī ḳhud-kalāmī par
tire ḳhayāl se masrūf-e-guftugū maiñ thā
thā aa.ine meñ shikast-e-ġhurūr-e-yaktā.ī
ki apne aks ke parde meñ hū-ba-hū maiñ thā
tū apnī zaat ke har pech-o-ḳham se pūchh ke dekh
qadam qadam mirī aahaT thī kū-ba-kū maiñ thā
har ek vādī-o-kohsār se guzartā huā
jo ābshār banā thā vo aabjū maiñ thā
ḳhutan ḳhutan thī shalañg-e-ġhazāl mere liye
badan badan mirā nashsha subū subū maiñ thā
tamām umr kī dīvāngī ke ba.ad khulā
maiñ terī zaat meñ pinhāñ thā aur tū maiñ thā
ma.āl-e-umr-e-mohabbat hai bas yahī 'tishna'
mirī talāsh thā vo us kī justujū maiñ thā
Top Urdushayar.com