mirī dastaras meñ hai gar qalam mujhe husn-e-fikr-o-ḳhayāl de
mujhe shahryār-e-suḳhan banā aur enān-e-shahr-e-kamāl de
mirī shāḳh-e-sher rahe harī de mire suḳhan ko sanobarī
mirī jhiil meñ bhī kañval khilā mirī gudḌiyoñ ko bhī la.al de
tirī baḳhshishoñ meñ hai sarvarī mire ishq ko de qalandarī
jo uThe to dast-e-duā lage mujhe aisā dast-e-savāl de
rag-e-jāñ meñ jamne lagā lahū use mushk banñe kī aarzū
hai udaas dasht-e-tatār-e-dil use phir shalañg-e-ġhazāl de
koī baat aqrab-o-shams kī koī zikr-e-zohra-o-mushtarī
tū baḌā sitāra-shanās hai mujhe koī achchhī sī faal de
haiñ ye jism-o-jāñ kī quyūd kyā ḳhad-o-ḳhāl ke ye hudūd kyā
maiñ huuñ aks-e-manzar-e-māvarā mujhe ā.inoñ se nikāl de
maiñ vahī huuñ 'tishna'-e-bā-vafā mirā aaj bhī vahī mudda.ā
na firāq de mujhe mustaqil na mujhe hamesha visāl de