hijāb ban ke vo merī nazar meñ rahtā hai
mujhī se parda hai mere hī ghar meñ rahtā hai
kabhī kisī kā tajassus kabhī ḳhud apnī talāsh
ajiib dil hai hamesha safar meñ rahtā hai
jise ḳhayāl se chhūte hue bhī Dartā huuñ
ik aisā husn bhī merī nazar meñ rahtā hai
jise kisī se koī vāsta nahīñ hotā
sukūñ ke saath vahī apne ghar meñ rahtā hai
jis ek lamhe se sadiyāñ badaltī jaatī haiñ
vo ek lamha musalsal safar meñ rahtā hai
tamām shahr ko hai jis pe naaz ai 'jauhar'
ik aisā shaḳhs hamāre nagar meñ rahtā hai