vo kyā javāb de arz-e-savāl se pahle
na samjhe baat jo iz.hār-e-hāl se pahle
ḳhushā vo daur ki jab thā masarratoñ kā hujūm
ruḳh-e-hayāt pe gard-e-malāl se pahle
karishma-sāzī-e-husn-e-tasavvurāt na pūchh
vo aa ga.e mire dil meñ ḳhayāl se pahle
ye jāntā huuñ kisī chiiz ko zamāne meñ
zavāl ho nahīñ saktā kamāl se pahle
ḳhudā-gavāh ki maiñ ne na dī jagah dil meñ
kisī ḳhayāl ko tere ḳhayāl se pahle
kuchh is tarah se huī zindagī kī barbādī
koī misāl nahīñ is misāl se pahle
ġhazal se pahle munāsib hai siikh lo 'jauhar'
shu.ūr-e-fan kisī ahl-e-kamāl se pahle