kabhī iqrār honā thā kabhī inkār honā thā
use kis kis tarah se dar-paye āzār honā thā
sunā ye thā bahut āsūda haiñ sāhil ke bāshinde
magar TuuTī huī kashtī meñ dariyā paar honā thā
sadā-e-al-amāñ dīvār-e-girya se palaT aa.ī
muqaddar kuufa o kābul kā jo mismār honā thā
muqaddar ke navishte meñ jo likkhā hai vahī hogā
ye mat socho ki kis par kis tarah se vaar honā thā
yahāñ ham ne kisī se dil lagāyā hī nahīñ 'manzar'
ki is duniyā se āḳhir ek din be-zār honā thā