har baar hī maiñ jaan se jaane meñ rah gayā
maiñ rasm-e-zindagī jo nibhāne meñ rah gayā
aatā hai merī samt ġhamoñ kā nayā hujūm
allāh maiñ ye kaise zamāne meñ rah gayā
vo mausam-e-bahār meñ aa kar chale ga.e
phūloñ ke maiñ charāġh jalāne meñ rah gayā
sāthī mire kahāñ se kahāñ tak pahuñch ga.e
maiñ zindagī ke naaz uThāne meñ rah gayā
daar o rasan sajā.e ga.e jis ke vāste
ik aisā shaḳhs mere zamāne meñ rah gayā
baḌhte chale ga.e jo vo manzil ko pā ga.e
maiñ pattharoñ se paañv bachāne meñ rah gayā