Umair Manzar

KHud ko har roz imtihan mein rakh

Umair Manzar

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1974
ḳhud ko har roz imtihān meñ rakh
baal o par kaaT kar uḌaan meñ rakh
sun ke dushman bhī dost ho jaa.e
shahad se lafz bhī zabān meñ rakh
ye to sach hai ki vo sitamgar hai
dar par aayā hai to amaan meñ rakh
marhale aur aane vaale haiñ
tiir apnā abhī kamān meñ rakh
vaqt sab se baḌā muhāsib hai
baat itnī mirī dhyān meñ rakh
tazkira ho tirā zamāne meñ
aisā pahlū koī bayān meñ rakh
tujh ko nasleñ ḳhudā na kah baiTheñ
apnī tasvīr mat makān meñ rakh
jis kī qismat hai begharī 'manzar'
un ko to apne sā.ebān meñ rakh
Top Urdushayar.com