jab insān ko apnā kuchh idrāk huā
saarā aalam us kī nazar meñ ḳhaak huā
is mahfil meñ maiñ bhī kyā bebāk huā
aib o hunar kā saarā parda chaak huā
us kī galī se shāyad ho kar aayā hai
bād-e-sabā kā jhoñkā jo saffāk huā
zabt-e-mohabbat kī pābandī ḳhatm huī
shauq-e-badan kā saarā qissa paak huā
us bastī se apnā rishta-e-jāñ 'manzar'
aate jaate mausam kī poshāk huā