banā ke vahm o gumāñ kī duniyā haqīqatoñ ke sarāb dekhūñ
maiñ apne hī ā.īne meñ ḳhud ko jahāñ bhī dekhūñ ḳharāb dekhūñ
ye kis ke saa.e ne rafta rafta ik aks mauhūm kar diyā hai
adam agar hai vajūd merā to roz o shab kyuuñ azaab dekhūñ
badal badal ke har ek pahlū fasāna kyā kyā banā rahā hai
bahut se kirdār aa.e hoñge magar koī intiḳhāb dekhūñ
ye mere sāthī haiñ pyāre sāthī magar inheñ bhī nahīñ gavārā
maiñ apnī vahshat ke maqbare se na.ī tamannā ke ḳhvāb dekhūñ
maiñ chāhtā huuñ badal duuñ 'manzar' purāne naqsh o nigār saare
ki sarhad-e-jism-o-jāñ se aage nayā koī iztirāb dekhūñ