Umair Manzar

ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua

Umair Manzar

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1974
ilm o fan ke rāz-e-sar-basta ko vā kartā huā
vo mujhe jab bhī milā hai tarjuma kartā huā
sirf ehsās-e-nadāmt ke sivā kuchh bhī nahīñ
aur aisā bhī magar vo bār-hā kartā huā
jaane kin hairāniyoñ meñ hai ki ik muddat se vo
ā.īna-dar-ā.īna-dar-ā.īna kartā huā
kyā qayāmat-ḳhez hai us kā sukūt-e-nāz bhī
ek aalam ko magar vo lab-kushā kartā huā
āgahī aaseb kī mānind raqsāñ har taraf
maiñ ki har dām-e-shunīdan ko sadā kartā huā
ek merī jaan ko andeshe sau sau tarah ke
ek vo apne liye sab kuchh ravā kartā huā
haal kyā pūchho ho 'manzar' kā vo dekho us taraf
saarī duniyā se alag apnī sanā kartā huā
Top Urdushayar.com