Sheikh Ibrahim Zauq

kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
kab haq-parast zāhid-e-jannat-parast hai
hūroñ pe mar rahā hai ye shahvat-parast hai
dil saaf ho to chāhiye ma.anī-parast ho
ā.īna ḳhaak saaf hai sūrat-parast hai
durvesh hai vahī jo riyāzat meñ chust ho
tārik nahīñ faqīr bhī rāhat-parast hai
juz zulf sūjhtā nahīñ ai murġh-e-dil tujhe
ḳhuffāsh tū nahīñ hai ki zulmat-parast hai
daulat kī rakh na mār-e-sar-e-gañj se ummīd
muuzī vo degā kyā ki jo daulat-parast hai
anqā ne gum kiyā hai nishāñ naam ke liye
gum-gashta kaun kahtā hai shohrat-parast hai
ye 'zauq' mai-parast hai yā hai sanam-parast
kuchh hai balā se lek mohabbat-parast hai
Top Urdushayar.com