maraz-e-ishq jise ho use kyā yaad rahe
na davā yaad rahe aur na duā yaad rahe
tum jise yaad karo phir use kyā yaad rahe
na ḳhudā.ī kī ho parvā na ḳhudā yaad rahe
loTte saikḌoñ naḳhchīr haiñ kyā yaad rahe
chiir do siine meñ dil ko ki patā yaad rahe
raat kā vaada hai bande se agar banda-navāz
band meñ de lo girah tā ki zarā yaad rahe
qāsid-e-āshiq-e-saudā-zada kyā laa.e javāb
jab na mālūm ho ghar aur na patā yaad rahe
dekh bhī lenā hameñ raah meñ aur kyuuñ sāhab
ham se muñh pher ke jaanā ye bhalā yaad rahe
tere mad.hosh se kyā hosh o ḳhirad kī ho ummīd
raat kā bhī na jise khāyā huā yaad rahe
kushta-e-nāz kī gardan pe chhurī phero jab
kaash us vaqt tumheñ nām-e-ḳhudā yaad rahe
ḳhaak barbād na karnā mirī us kūche meñ
tujh se kah detā huuñ maiñ bād-e-sabā yaad rahe
gor tak aa.e to chhātī pe qadam bhī rakh do
koī be-dil idhar aa.e to patā yaad rahe
terā āshiq na ho āsūda ba-zer-e-tūbā
ḳhuld meñ bhī tire kūche kī havā yaad rahe
baaz aa jaa.eñ jafā se jo kabhī aap to phir
yaad āshiq ko na kījegā bhalā yaad rahe
dāġh-e-dil par mire phāhā nahīñ hai añgārā
chārāgar liijo na chuTkī se uThā yaad rahe
zaḳhm-e-dil bole mire dil ke namak-ḳhvāroñ se
lo bhalā kuchh to mohabbat kā mazā yaad rahe
hazrat-e-ishq ke maktab meñ hai tālīm kuchh aur
yaañ likkhā yaad rahe aur na paḌhā yaad rahe
gar haqīqat meñ hai rahnā to na rakh ḳhud-bīnī
bhūle banda jo ḳhudī ko to ḳhudā yaad rahe
ālam-e-husn ḳhudā.ī hai butoñ kī ai 'zauq'
chal ke but-ḳhāne meñ baiTho ki ḳhudā yaad rahe