Sheikh Ibrahim Zauq

bazm mein zikr mera lab pe wo lae to sahi

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
bazm meñ zikr mirā lab pe vo laa.e to sahī
vahīñ mālūm karūñ hoñT hilā.e to sahī
sañg par sañg har ik kūche meñ khaa.e to sahī
par balā se tire dīvāne khaa.e to sahī
go janāze pe nahīñ qabr pe aa.e vo mirī
shikva kyā kiije ġhanīmat hai ki aa.e to sahī
kyūñki dīvār pe chaḌh jā.ūñ koī kahtā hai
paañv kāTūñgā añgūThā vo jamā.e to sahī
pāra-e-mus.haf-e-dil the tire kūche meñ paḌe
aate paañv ke tale shukr ki paa.e to sahī
saaf be-parda nahīñ hotā vo ġhurfa meñ na ho
rauzan-e-dar se kabhī aañkh laḌā.e to sahī
gah baḌhātā hai gahe mah ko ghaTātā hai falak
par shab-e-hijr ko ham dekheñ ghaTā.e to sahī
karūñ ik naale se maiñ hashr meñ barpā sau hashr
shor-e-mahshar mujhe sote se jagā.e to sahī
gir paḌe the ka.ī us kūche meñ dil ke TukḌe
aate paañv ke tale shukr ki paa.e to sahī
the tumhīñ nikle jo us dām-e-balā se ai 'zauq'
varna the pech meñ us zulf ke aa.e to sahī
Top Urdushayar.com