kisī bekas ko ai bedād gar maarā to kyā maarā
jo aap hī mar rahā ho us ko gar maarā to kyā maarā
na maarā aap ko jo ḳhaak ho iksīr ban jaatā
agar paare ko ai iksīr gar maarā to kyā maarā
baḌe muuzī ko maarā nafs-e-ammāra ko gar maarā
nahañg o azhdahā o sher-e-nar maarā to kyā maarā
ḳhatā to dil kī thī qābil bahut sī maar khāne ke
tirī zulfoñ ne mushkīñ bāñdh kar maarā to kyā maarā
nahīñ vo qaul kā sachchā hamesha qaul de de kar
jo us ne haath mere haath par maarā to kyā maarā
tufañg o tiir to zāhir na thā kuchh paas qātil ke
ilāhī us ne dil ko taak kar maarā to kyā maarā
hañsī ke saath yaañ ronā hai misl-e-qulqul-e-mīnā
kisī ne qahqaha ai be-ḳhabar maarā to kyā maarā
mire aañsū hamesha haiñ ba-rañg-e-lāl-e-ġharq-e-ḳhūñ
jo ġhota aab meñ tū ne guhar maarā to kyā maarā
jigar dil donoñ pahlū meñ haiñ zaḳhmī us ne kyā jaane
idhar maarā to kyā maarā udhar maarā to kyā maarā
gayā shaitān maarā ek sajda ke na karne meñ
agar lākhoñ baras sajde meñ sar maarā to kyā maarā
dil-e-sangīn-e-ḳhusrau par bhī zarb ai kohkan pahuñchī
agar tesha sar-e-kohsār par maarā to kyā maarā
dil-e-bad-ḳhvāh meñ thā mārnā yā chashm-e-bad-bīñ meñ
falak par 'zauq' tīr-e-āh gar maarā to kyā maarā