Sheikh Ibrahim Zauq

hath sine pe mere rakh ke kidhar dekhte ho

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
haath siine pe mire rakh ke kidhar dekhte ho
ik nazar dil se idhar dekh lo gar dekhte ho
hai dam-e-bāz-pasīñ dekh lo gar dekhte ho
ā.īna muñh pe mire rakh ke kidhar dekhte ho
nā-tavānī kā mirī mujh se na pūchho ahvāl
ho mujhe dekhte yā apnī kamar dekhte ho
par-e-parvāna paḌe haiñ shajar-e-sham.a ke gird
barg-rezi-e-mohabbat kā samar dekhte ho
bed-e-majnūñ ko ho jab dekhte ai ahl-e-nazar
kisī majnūñ ko bhī āshufta-basar dekhte ho
shauq-e-dīdār mirī naash pe aa kar bolā
kis kī ho dekhte raah aur kidhar dekhte ho
lazzat-e-nāvak-e-ġham 'zauq' se ho pūchhte kyā
lab paḌe chāTte haiñ zaḳhm-e-jigar dekhte ho
Top Urdushayar.com