ḳhat baḌhā kākul baḌhe zulfeñ baḌhīñ gesū baḌhe
husn kī sarkār meñ jitne baḌhe hindū baḌhe
ba.ad ranjish ke gale milte hue ruktā hai jī
ab munāsib hai yahī kuchh maiñ baḌhūñ kuchh tū baḌhe
baḌhte baḌhte baḌh ga.ī vahshat vagarna pahle to
haath ke nāḳhun baḌhe sar ke hamāre mū baḌhe
tujh ko dushman vaañ sharārat se jo bhaḌkāte hai roz
chāhte haiñ aur shar ai shoḳh-e-ātish-e-ḳhū baḌhe
kuchh tap-e-ġham ko ghaTā kyā fā.eda is se tabīb
roz nusḳhe meñ agar ḳhurfa ghaTe kaahū baḌhe
peshvā.ī ko ġham-e-jānāñ kī chashm-e-dil se 'zauq'
jab baḌhe naale to us se beshtar aañsū baḌhe