qasd jab terī ziyārat kā kabhū karte haiñ
chashm-e-pur-āb se ā.īne vazū karte haiñ
karte iz.hār haiñ dar-parda adāvat apnī
vo mire aage jo tārīf-e-adū karte haiñ
dil kā ye haal hai phaT jaa.e hai sau jaa.e se aur
agar ik jaa.e se ham us ko rafū karte haiñ
toḌeñ ik naale se is kāsa-e-gardūñ ko magar
nosh ham is meñ kabhū dil kā lahū karte haiñ
qad-e-dil-jū ko tumhāre nahīñ dekhā shāyad
sarkashī itnī jo sarv-e-lab-e-jū karte haiñ