hañgāma garm hasti-e-nā-pā.edār kā
chashmak hai barq kī ki tabassum sharār kā
maiñ jo shahīd huuñ lab-e-ḳhāndān-e-yār kā
kyā kyā charāġh hañstā hai mere mazār kā
ho rāz-e-dil na yaar se poshīda yaar kā
parda na darmiyāñ ho jo dil ke ġhubār kā
us rū-e-tābnāk pe har qatra-e-araq
goyā ki ik sitāra hai sub.h-e-bahār kā
hai ain-e-vasl meñ bhī mirī chashm sū-e-dar
lapkā jo paḌ gayā hai mujhe intizār kā
pahuñchegā tere paas kabūtar se pesh-tar
maktūb-e-shauq uḌā ke tire be-qarār kā
ho pāk-dāmanoñ ko ḳhalish gar se kyā ḳhatar
khaTkā nahīñ nigāh ko mizhgāñ ke ḳhaar kā
bujhne kī dil kī aag nahīñ zer-e-ḳhāk bhī
hogā daraḳht gor pe merī chīnār kā
dekh apne dar-e-gosh ko aariz se muttasil
dekhā na ho sitāra jo sub.h-e-bahār kā
pūchhe hai kyā halāvt-e-talḳhāba-e-sarishk
sharbat hai bāġh-e-ḳhuld-e-barīñ ke anaar kā
hai dil kī daao ghaat meñ mizhgāñ se chashm-e-yār
hai shauq us kī TaTTī kī ojhal shikār kā
qāsid likhūñ lifāfa-e-ḳhat ko ġhubār se
tā jaane vo ye ḳhat hai kisī ḳhāksār kā
ai 'zauq' hosh gar hai to duniyā se duur bhaag
is mai-kade meñ kaam nahīñ hoshiyār kā