Sheikh Ibrahim Zauq

aankhen meri talwon se wo mal jae to achchha

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
āñkheñ mirī talvoñ se vo mal jaa.e to achchhā
hai hasrat-e-pā-bos nikal jaa.e to achchhā
jo chashm ki be-nam ho vo ho kor to behtar
jo dil ki ho be-dāġh vo jal jaa.e to achchhā
bīmār-e-mohabbat ne liyā tere sambhālā
lekin vo sambhāle se sambhal jaa.e to achchhā
ho tujh se ayādat jo na bīmār kī apne
lene ko ḳhabar us kī ajal jaa.e to achchhā
khīñche dil-e-insāñ ko na vo zulf-e-siyah-fām
azhdar koī gar us ko nigal jaa.e to achchhā
tāsīr-e-mohabbat ajab ik hub kā amal hai
lekin ye amal yaar pe chal jaa.e to achchhā
dil gir ke nazar se tirī uThne kā nahīñ phir
ye girne se pahle hī sambhal jaa.e to achchhā
furqat meñ tirī tār-e-nafas siine meñ mere
kāñTā sā khaTaktā hai nikal jaa.e to achchhā
ai girya na rakh mere tan-e-ḳhushk ko ġharqāb
lakḌī kī tarah paanī meñ gal jaa.e to achchhā
haañ kuchh to ho hāsil samar-e-naḳhl-e-mohabbat
ye siina phaphūloñ se jo phal jaa.e to achchhā
vo sub.h ko aa.e to karūñ bātoñ meñ dopahar
aur chāhūñ ki din thoḌā sā Dhal jaa.e to achchhā
Dhal jaa.e jo din bhī to usī tarah karūñ shaam
aur chāhūñ ki gar aaj se kal jaa.e to achchhā
jab kal ho to phir vo hī kahūñ kal kī tarah se
gar aaj kā din bhī yuuñ hī Tal jaa.e to achchhā
al-qissa nahīñ chāhtā maiñ jaa.e vo yaañ se
dil us kā yahīñ garche bahal jaa.e to achchhā
hai qat.a rah-e-ishq meñ ai 'zauq' adab shart
juuñ sham.a tū ab sar hī ke bal jaa.e to achchhā
Top Urdushayar.com