Sheikh Ibrahim Zauq

mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
mahfil meñ shor-e-qulqul-e-mīnā-e-mul huā
lā sāqiyā pyāla ki tauba kā qul huā
jin kī nazar chaḌhā tirā ruḳhsār-e-ātishīñ
un kā charāġh-e-gor na tā-hashr gul huā
banda-navāziyāñ to ye dekho ki aadmī
juzv-e-za.īf mahram-e-asrār-e-kul huā
dariyā-e-ġham se mere guzarne ke vāste
teġh-e-ḳhamīda yaar kī lohe kā pul huā
parvāna bhī thā garm-e-tapish par khulā na raaz
bulbul kī tañg-hauslagī thī ki ġhul huā
aa.ī tahī-daroñ kī na hargiz samajh meñ baat
āvāza go buland misāl-e-duhul huā
us bin rahā chaman meñ bhī maiñ 'zauq' dil-ḳharāsh
nāḳhun se tez-tar mujhe har barg-e-gul huā
Top Urdushayar.com