Sheikh Ibrahim Zauq

azizo isko na ghaDiyal ki sada samjho

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
azīzo is ko na ghaḌiyāl kī sadā samjho
ye umr-e-rafta kī apnī sadā-e-pā samjho
bajā kahe jise aalam use bajā samjho
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā samjho
na samjho dasht shifā-ḳhāna-e-junūñ hai ye
jo ḳhaak sī bhī paḌe phāñknī davā samjho
samajh tū kor-savādoñ ko ho jo ilm na ho
agar samajh bhī na ho kor-e-be-asā samjho
paḌe kitāb ke qissoñ meñ kyā karo dil saaf
safā ho dil to ba-az rauzatus-safā samjho
hañse jo vo mire rone pe to saf-e-mizhgāñ
na samjho tum use dīvār-e-qahqahā samjho
nafas kī āmad-o-shud hai namāz-e-ahl-e-hayāt
jo ye qazā ho to ai ġhāfilo qazā samjho
tumhārī raah meñ milte haiñ ḳhaak meñ lākhoñ
is aarzū meñ ki tum apnā ḳhāk-e-pā samjho
duā.eñ dete haiñ ham dil se teġh-e-qātil ko
lab-e-jarāhat-e-dil ko lab-e-duā samjho
bahā diyā mirā ḳhuuñ us ne apne kūche meñ
usī ko yaaro diyat samjho ḳhūñ-bahā samjho
samajh hai aur tumhārī kahūñ maiñ tum se kyā
tum apne dil meñ ḳhudā jaane sun ke kyā samjho
tumheñ hai naam se kyā kaam misl-e-ā.īna
jo rū-ba-rū ho use sūrat-āshnā samjho
zahe nasīb ki hañgām-e-mashq tīr-e-sitam
hamāre Dher ko tum to vo ḳhaak kā samjho
nahīñ hai kam zar-e-ḳhālis se zardi-e-ruḳhsār
tum apne ishq ko ai 'zauq' kīmiyā samjho
Top Urdushayar.com