Sheikh Ibrahim Zauq

balaen aankhon se unki mudam lete hain

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
balā.eñ āñkhoñ se un kī mudām lete haiñ
ham apne hāthoñ kā mizhgāñ se kaam lete haiñ
ham un kī zulf se saudā jo vaam lete haiñ
to asl o suud vo sab daam daam lete haiñ
shab-e-visāl ke roz-e-firāq meñ kyā kyā
nasīb mujh se mire intiqām lete haiñ
qamar hī dāġh-e-ġhulāmī faqat nahīñ rakhtā
vo mol aise hazāroñ ġhulām lete haiñ
ham un ke zor ke qaa.il haiñ haiñ vahī shah-zor
jo ishq meñ dil-e-muztar ko thaam lete haiñ
qatīl-e-nāz batāte nahīñ tujhe qātil
jab un se pūchho ajal hī kā naam lete haiñ
tire asiir jo sayyād karte haiñ fariyād
to phir vo dam hī nahīñ zer-e-dām lete haiñ
jhukā.e hai sar-e-taslīm māh-e-nau par vo
ġhurūr-e-husn se kis kā salām lete haiñ
tire ḳhirām ke pairū haiñ jitne fitne haiñ
qadam sab aan ke vaqt-e-ḳhirām lete haiñ
hamāre haath se ai 'zauq' vaqt-e-mai-noshī
hazār naaz se vo ek jaam lete haiñ
Top Urdushayar.com