Sheikh Ibrahim Zauq

juda hon yar se hum aur na ho raqib juda

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
judā hoñ yaar se ham aur na ho raqīb judā
hai apnā apnā muqaddar judā nasīb judā
tirī galī se nikalte hī apnā dam niklā
rahe hai kyuuñ ki gulistāñ se andalīb judā
dikhā de jalva jo masjid meñ vo but-e-kāfir
to chīḳh uTThe mo.azzin judā ḳhatīb judā
judā na dard-e-judā.ī ho gar mire aazā
hurūf-e-dard kī sūrat huuñ ai tabīb judā
hai aur ilm o adab maktab-e-mohabbat meñ
ki hai vahāñ kā moallim judā adiib judā
hujūm-e-ashk ke hamrāh kyuuñ na ho naala
ki fauj se nahīñ hotā kabhī naqīb judā
firāq-e-ḳhuld se gandum hai sīna-chāk ab tak
ilāhī ho na vatan se koī ġharīb judā
kiyā habīb ko mujh se judā falak ne magar
na kar sakā mire dil se ġham-e-habīb judā
kareñ judā.ī kā kis kis kī ranj ham ai 'zauq'
ki hone vaale haiñ ham sab se an-qarīb judā
Top Urdushayar.com